शुक्रवार, 28 फ़रवरी 2014

HIGHWAY ………………..Safar jaari hain



Imtiaz Ali ki pichli movie Rockstar ko dimaag mein rakhkar agar aap Highway movie dekhne ja rahe hain to ye galti bilkul mat kariyega.  Highway poori tarah se ek alag filmi product hai. 

Veena Tripathi(Alia Bhatt) ki khuli hawa mein jeene ki  khawhish hi usse us Highway tak le jaati hai. Jahan par apni maa ke alwa dusari baar kisi se apne hisse ke sach ko bayaan kar paati hai.  Aur wahi Highway usko sabke saamne sach kahne ka mauka bhi deta hai. Picture ki story batane se koi fyada nahi hai.

Kuch Dialogue yaad hai jo humne acche lage. Jab Mahavir  Bhati, Veena tripathi ko apharan karke ghar lata hai. To Mahavir ke gang ka senior kahta hai ‘saale kutte ki maut marga’. Tab Mahvir jawab deta hai ki ‘kutta kutte ki hi maut mare hain.'

Jab Veena, mahavir ke saath truck mein baith kar ja rahi hoti hai to kahti hai ki “jahan se tum mujhe laaye ho wahan mein wapas jaana nahi chahti aur jahan tum mujhe le rahe ho wahan pahuchana nahi chahti …bas pasand hai ye rasta…chahti bas ye rasta kabhi khatam na ho.”

 Haan Randeep Hooda(Mahveer Bhati) aur Alia Bhatt ki acting hi movie ki asli jaan hain. Film mein gaane thode aur jyada hote to logon ko aur accha lagta. A.R. Rahman ko log aur adhik sunna chahte thay.Film ki location bahut hi behtareen hain.  Khaskar wo scene bahut hi accha shoot kiya  hai jab Veena ek khule maidaan mein bhagte-bhagte gir jaati hai.

Anil Mehta ki cinematography kaafi badhiya hai wahin Aarti Bajaj ne bhi badhiya Editing ki hain.
Pahli baar kisi film ke end mein hone wali casting mein Sabse pahle “Body Language Consultant” ka naam dekha. Ye ek naya trend aage chalkar saabit ho sakta hai.

Film ka main topic ekdam Mansoon Wedding movie jaisa hi hai. Isliye lagta hai bade-bade reviewer ne film ko kam star diye hain. Are Bhai sab ne mansoon wedding dekhti hai ye bhi to zaruri nahi hain .Are star-vistar ke chakkar mein mat padiye bade gharon ya phir ho sakta hai aap ke ghar ki haqeekat bhi aap ko jaane ko mil jaaye.

Ek Accha filmi Product hai Highway  jisse dekhte samay aap entertain bhi hogein aur apne ghar mein maujood bacchon ke baare mein bhi sochne lagegein.

Ek Baat aur Imtiaz ke Highway se ek baat aur saabit hoti hai apne desh ke highway hain badhiyan. Agar Imtiaz ne Ministry of Road and Transport se baat ki hoti to kya pata Imtiyaz ko kuch riyayatein bhi mil sakti thi.

Aap apni poori family ke saath movie dekh saktein hain. Ya phir is movie ke world premier ke aane ka intzaar kariye.