BEYOND……HIT & MISS
Pahli baar kisi book ke baare mein likh raha hun. Aur likhne ki wajah Ritvik Kukreja hain. Ritvik ke baare mein baad mein baat karegein..
Chaar Doston ka Medical Drama…Curious Case of Mandy… Curious Case of Komal Baba…Curious Case of Sara…Curious Case of Sameer…Curious Case of Kashilal…Curious Case of Imraan.
Aryan, Rohan, Tarun aur Yash ki dosti. Doctors ke liye HIT aur MISS ka kya matlab hai. Dr. Shrivastava ki practical Medical class. Book ko padhte samay kai terms aise thay jinko pahle kabhi nahi suna tha. Par zindgi ke liye kitne zaruri ho sakte hain wo sabhi word… unke baare mein google ke bina bhi jaan liya hai.
Phir kyoki book medical drama hai to ek baar un medical terms ko cross check bhi kiya.
Book ke zariye khud MBBS ki class attend karne ka mauaka bhi mil gaya. Yahan asal zindgi ke Denny se milne ka mauka miltaa hai.
Aaj bhi apni Country mein Medical treatment ke kya halaat hain aur kaise logon ki jaan chali jaati hai. Book mein Medical Drama ke zariye bahut hi khoobsurati se uthaya gaya hai.
Aapko lagta hoga ki sirf court mein hi ‘Date’ di jaati hain…thodi aakhein kholegein to pata chalega ki desh ke Sabse Sarkari Hosptial AIIMS mein bhi date ka Chakkar kitna chalta hai.
Delhi mein khud reporting karte samay AIIMS mein patient ko Date diye jaane ke wakiye ko jaanta tha. Book mein is baat ko bhi uthaya gaya. Yahan par Author thodi aur detail de sakta tha. Par phir bhi medical drama mein itni baatein aa jaati hain wahi bahut hai.
True Friendship, Love Story, emotion, courage ke saath aage badhti hain.
Do Country ke Relationship ko kis tarah se Doctor ki ek koshish aur mazboot kar sakti hain.
Book mein bahut aise mauke hain jahan par aapko apne doston ki yaad aa sakti hai. Book padhte samay hasne ke bhi kai mauke aate hain.
Kul milakar agar aapko fiction books padhne mein maza aata hai. Toh aap ye book padh sakte hain.
Ab kuch author ke baare mein…Ritvik aur humne ek saath hi IIMC se journalism kiya hai. Ritivk English journalism mein tha aur hum Hindi journalism mein. Year same tha par classes same nahi thi. Humari classes first floor par chalti thi aur uski Second Floor par. Country ke itne bade institute mein padhne ke bawjood shayd hi humne aapas mein kabhi baat ki ho. Jabki Institute mein number of students to bahut kam thay tab. Shayad Galti ki. Ab lagta hai kitne badhiya log thay IIMC mein jinse milne aur samjhne ka mauka nahi mila. Ritvik ka asli talent ab teen-chaar saal baad humare saamne aa raha hai. Ritvik humara dost nahi hai. Phir Same batch se pass out hone ke chalte uska 'Author' banana aur uski book padhna ek accha experience hai.
Note- Ye Book Humne khud kharidi hain. Book ke baarein mein likhne ke liye kisi ne Gift nahi thi... Ye Poori Book Padhne ke baad likha gaya ghatiya sa review hai.
Beacause hum ‘Ghatiya Writer Want to be Author’
BEYOND- HIT & MISS By Ritvik Kukreja.
Page-382, Rs-235