रविवार, 26 अक्तूबर 2008

Navratri maain badh jata hai ladkiyo ka mahatav

Koi bhi baat kabhi bhi kisi se chup nahi sakti hai. Kabhi-kabhi humare dimag maain yeh baaitne aati hai ki aisa hota toh kitna acha hota hai. Navratri maain aachnak jab ladkiyo ka mahatav badh jata. Shayad yeh ek aisa avsar hota hai. Jab ladkiya apne aap ki jarurat ko samaghti hai. Kya hai wasatav maain unka mahatav. Saal bhar maain do baar hindu log navratri ke varta rakte hai. Baat 08/10/2008 ki jab logo ko kanyao ki jarorat thi. Lekin subh ke waqt ladkiyo ka milna apne aap maain ek challenge hota hai. Aaj ladkiyo ki demand dekhkar aacha lag raha tha. Itne aache comedy scene create ho rahe thay kya batoo. Behan ji agar aap ke ghar maain kanaye aa gayi ho to apni pooja karne ke baad humare ghar main bhej dijieyga. Ladkiyo ka apna maan hota hai. Kab kisse ghar jaana hai.Humane dekha hain jo auty log saal bhar ladkiyo ko kosti hain unko bahut aadhik jarorat hoti hai.beta tumhare ghar maain jo ladkiya aai hain unko humare ghar bhej dena. Kai aunty ji log to aapas maain ladai bhi kar leti hai. Pahle hum lene aaye thay lene. Beta pahle humare ghar chalogi ? Ladkiya bhi nahi samagh paati hain ki kiske ghar jaaye aur kiske nahi. Unko toh aaj ka din khoob paise kamne ka mauka mila hota hain.chalo aap ke ghar bhi ho aate hai. Lekin kya jis hisaab yeh purso aur mahilao ka anupaat ghat raha hain. kya kalpana ki hai navratri maain logo ko apne varta kholne ke liye ladkiya kaha se milegi? सिर्फ़ अपने या आप के लिए नही बल्कि पुरे देश की एक बहुत बड़ी समस्या हैं यह। कुछ करना ही होगा ।