शुक्रवार, 28 फ़रवरी 2014

HIGHWAY ………………..Safar jaari hain



Imtiaz Ali ki pichli movie Rockstar ko dimaag mein rakhkar agar aap Highway movie dekhne ja rahe hain to ye galti bilkul mat kariyega.  Highway poori tarah se ek alag filmi product hai. 

Veena Tripathi(Alia Bhatt) ki khuli hawa mein jeene ki  khawhish hi usse us Highway tak le jaati hai. Jahan par apni maa ke alwa dusari baar kisi se apne hisse ke sach ko bayaan kar paati hai.  Aur wahi Highway usko sabke saamne sach kahne ka mauka bhi deta hai. Picture ki story batane se koi fyada nahi hai.

Kuch Dialogue yaad hai jo humne acche lage. Jab Mahavir  Bhati, Veena tripathi ko apharan karke ghar lata hai. To Mahavir ke gang ka senior kahta hai ‘saale kutte ki maut marga’. Tab Mahvir jawab deta hai ki ‘kutta kutte ki hi maut mare hain.'

Jab Veena, mahavir ke saath truck mein baith kar ja rahi hoti hai to kahti hai ki “jahan se tum mujhe laaye ho wahan mein wapas jaana nahi chahti aur jahan tum mujhe le rahe ho wahan pahuchana nahi chahti …bas pasand hai ye rasta…chahti bas ye rasta kabhi khatam na ho.”

 Haan Randeep Hooda(Mahveer Bhati) aur Alia Bhatt ki acting hi movie ki asli jaan hain. Film mein gaane thode aur jyada hote to logon ko aur accha lagta. A.R. Rahman ko log aur adhik sunna chahte thay.Film ki location bahut hi behtareen hain.  Khaskar wo scene bahut hi accha shoot kiya  hai jab Veena ek khule maidaan mein bhagte-bhagte gir jaati hai.

Anil Mehta ki cinematography kaafi badhiya hai wahin Aarti Bajaj ne bhi badhiya Editing ki hain.
Pahli baar kisi film ke end mein hone wali casting mein Sabse pahle “Body Language Consultant” ka naam dekha. Ye ek naya trend aage chalkar saabit ho sakta hai.

Film ka main topic ekdam Mansoon Wedding movie jaisa hi hai. Isliye lagta hai bade-bade reviewer ne film ko kam star diye hain. Are Bhai sab ne mansoon wedding dekhti hai ye bhi to zaruri nahi hain .Are star-vistar ke chakkar mein mat padiye bade gharon ya phir ho sakta hai aap ke ghar ki haqeekat bhi aap ko jaane ko mil jaaye.

Ek Accha filmi Product hai Highway  jisse dekhte samay aap entertain bhi hogein aur apne ghar mein maujood bacchon ke baare mein bhi sochne lagegein.

Ek Baat aur Imtiaz ke Highway se ek baat aur saabit hoti hai apne desh ke highway hain badhiyan. Agar Imtiaz ne Ministry of Road and Transport se baat ki hoti to kya pata Imtiyaz ko kuch riyayatein bhi mil sakti thi.

Aap apni poori family ke saath movie dekh saktein hain. Ya phir is movie ke world premier ke aane ka intzaar kariye.

If you want to be understand impact of genetically modified crop, you can watch this video-Poison on the Platter



शनिवार, 22 फ़रवरी 2014

Zindgi Jeene ka zajba kam Maut ka khauf Jyada Paida karte Advertisement

ज़िंदगी जीने का कम और मौत का खौफ़ पैदा करते इश्तिहार...

शुक्रवार, 21 फ़रवरी 2014

TriniLadki............I want to marry 'she'



Chatni music and song by- Sonu Nigam

मंगलवार, 11 फ़रवरी 2014

आप, हम, मैं और तुम...

Photo-(Google)

कल रात भर नींद नहीं आ रही थी. बार-बार चार लोग आते परेशान करते और चले जाते। कभी पहला इधर से कुछ कहता तो दूसरा अपनी तरफ बुलाने लगता। दूसरे से फुरसत मिलती नहीं तीसरा आकर अपनी आखें दिखाने लगता। तीसरे से मिलने के बाद चौथे की तरफ मिलने जाने से भी डर सा लगने लगा था कि पता नहीं अब ये कितनी गालियां देगा। रात भर चारों बारी-बारी से आते और मज़े लेकर चले जाते।

चारों एक साथ बोले कितनी घटिया पॉलिटिक्स हो रही है तुम्हारे समय में.… कुछ करते क्यों नही तुम?
 
हमने उन चारों से पूछा कि आखिर तुम्हारी प्रॉब्लम क्या है? 

तो चारों हसने लगे और बोले कि मासूम तो ऐसे बनते, जैसे कोई छोटा बच्चा हो. भाई बेवकूफ किसे बना रहे हो.

हमने कहा देखो यार नींद लग रही है और सुबह जल्दी उठना भी है. जो कुछ कहना है साफ़-साफ़ कहो और जल्दी कहो.वरना हमने सोने दो.

हमारा इतना कहना था कि तीनों को पीछे करते हुए 'आप' सामने आ गया. आप ने कहा बड़ी तमीज़ से कहा भाई हमारा नाम लोगों ने क्यों पॉलिटिक्स में खींच लिया। आख़िर हमने लोगों का क्या बिगाड़ा था. हमारा पॉलिटिक्स से कुछ भी लेना-देना नहीं है. लखनऊ के रहने वाले हैं. लोग बड़ी शराफ़त से हमारा नाम लेते हैं. एक-दूसरे को इज्ज़त देने में. अपने से बड़ों को और छोटों को भी प्यार से आप ही बुलाते हैं. ये ज़िंदगी शॉर्टकट जीने वालों ने जीना ही मुहाल कर दिया है. राजनीतिक पार्टी का नाम जोड़ दिया हमारे साथ और अब हैशटैग कर करके परेशान कर रहे हैं. उन सब को बताइए न कि हम लखनऊ वाले आप से राजनीतिक पार्टी का कोई लेना देना नहीं है. और अपने नाम का मिसयूज होते हम नहीं देख सकते हैं. बता दीजिये उन सभी को लखनऊ में हाई कोर्ट है, यहीं पर मानहानि की अर्ज़ी दाखिल कर देंगे।

आप की बातें बहुत ध्यान से सुन रहा था 'हम'. आप ने जैसे ही अपनी बात को ख़त्म किया। हम ने तुरंत कहा कि देश राजनीति में अब मुददे नहीं हैं तुम लोगों के पास...कितनी घटिया किस्म कि राजनीति कर रहे हो. कोई अक्ल है कि नहीं। अब मैं, तुम और हम मुद्दे हो गए हैं. उसको लेकर खींच तान करने लगे हो. जब ये सब तुम्हारे लिए राजनीति के मुद्दे होंगे तो तुम्हारी राजनीति का क्या लेवल होगा यार. कुछ तो शर्म करो. ऐसा कब तक चलेगा। एक बात हम साफ़ कर दे रहे हैं अगर दोबारा 'हम' को राजनीति जबरदस्ती खीचने की कोशिश की हम से बुरा कोई न होगा। हम ने कहा हम भी लखनऊ के रहने वाले हैं. हमारे पूर्वज कहीं और रहते थे.… जो बाद में आकर यही बस गए. हमारी बातों को बड़ी शराफ़त से सुन कर ऊपर तक पहुँचा दीजिएगा कि दोबारा ऐसी गलती न हो.

हम की बातें सुनने के बाद 'मैं' ने  'तुम' को पीछे कर दिया और बोला कि आखिर लोगों को बताना क्या चाहते हो? कौन बुरा और कौन अच्छा, इसका निर्णय करने वाले कौन होते हो? जैसे कि दुनिया में सबसे बुरा हूँ मैं. लोग मुझे खुद यूज़ करते हैं. जब उन्हें कोई ऐतराज़ नहीं तो मुझे  बदनाम किया जा रहा है. राजनीति करनी है तो मुद्दों की राजनीति करो, जिससे देश का भी कुछ भला हो. दोबारा अब कहने नहीं आएगें बस देंगे। जानते तो होगे ही कि बड़े मुँहफट हैं.

आप, हम और मैं इतना कुछ कह चुके थे कि 'तुम' बस खड़ा-खड़ा मुस्कुरा रहा था. 'तुम' मेरे पास आया और बोला कि देखो यार किसी को इस तरह से बेइज़त नहीं किया जाता है. जो लोग ऐसा करते उन्हें समझाओ। एक दोस्त को जैसे हमेशा तुम कह कर बात करते हैं. आज 'तुम' खुद एक दोस्त बनकर हमें समझा रहा रहा था. 

थोड़ी देर बाद आप, हम, मैं और तुम हमें यूहीं छोड़कर आपस में बातें करते हुए वहां से चले गए. और उनके जाने और इतना कुछ कहने के बीच कब सुबह हो गई पता ही नहीं चला.

रविवार, 2 फ़रवरी 2014

BEYOND……HIT & MISS

BEYOND……HIT & MISS


Pahli baar kisi book ke baare mein likh raha hun.  Aur likhne ki wajah Ritvik Kukreja hain.  Ritvik ke baare mein baad mein baat karegein..

Chaar Doston ka Medical Drama…Curious Case of Mandy… Curious Case of Komal Baba…Curious Case of Sara…Curious Case of Sameer…Curious Case of Kashilal…Curious Case of Imraan.

Aryan, Rohan, Tarun aur Yash ki dosti.  Doctors ke liye HIT aur MISS ka kya matlab hai. Dr. Shrivastava ki practical Medical class. Book ko padhte samay  kai terms aise thay jinko pahle kabhi nahi suna tha. Par zindgi ke liye kitne zaruri ho sakte hain wo sabhi word… unke baare mein google ke bina bhi jaan liya hai.

Phir kyoki book medical drama hai to ek baar un medical terms ko cross check bhi kiya.

Book  ke zariye khud  MBBS ki class attend karne ka mauaka bhi mil gaya. Yahan asal zindgi ke Denny se milne ka mauka miltaa hai.
Aaj bhi apni Country mein Medical treatment ke kya halaat hain aur kaise logon ki jaan chali jaati hai. Book mein Medical Drama ke zariye  bahut hi khoobsurati se uthaya gaya hai.

Aapko lagta hoga ki sirf court mein hi ‘Date’ di jaati hain…thodi aakhein kholegein to pata chalega ki desh ke Sabse Sarkari Hosptial AIIMS mein bhi date ka Chakkar kitna chalta hai.
Delhi mein khud reporting karte samay AIIMS mein patient ko Date diye jaane ke wakiye ko jaanta tha. Book mein is baat ko bhi uthaya gaya. Yahan par Author thodi aur detail de sakta tha. Par phir bhi medical drama mein  itni baatein aa jaati hain wahi bahut hai.

True Friendship, Love Story, emotion, courage ke saath aage badhti  hain.
Do Country ke Relationship ko  kis tarah se Doctor ki ek koshish aur mazboot kar sakti hain.
Book mein bahut aise mauke hain jahan par aapko apne doston ki yaad aa sakti hai. Book padhte samay hasne ke bhi kai mauke aate hain.

Kul milakar agar aapko fiction books padhne mein maza aata hai. Toh aap ye book padh sakte hain.

Ab kuch author ke baare mein…Ritvik aur humne ek saath hi IIMC se journalism kiya hai. Ritivk English journalism mein tha aur hum Hindi journalism mein. Year same tha par classes same nahi thi. Humari classes first floor par chalti thi aur uski Second Floor par. Country ke itne bade institute mein padhne ke bawjood shayd hi humne aapas mein kabhi baat ki ho. Jabki Institute mein number of students to bahut kam thay tab. Shayad Galti ki. Ab lagta hai kitne badhiya log thay IIMC mein  jinse milne aur samjhne ka mauka nahi mila. Ritvik ka asli talent ab teen-chaar saal baad humare saamne aa raha hai. Ritvik  humara dost nahi hai. Phir Same batch se pass out hone ke chalte uska 'Author' banana aur uski book padhna ek accha experience hai.

Note- Ye Book Humne khud kharidi hain. Book ke baarein mein likhne ke liye kisi ne Gift nahi thi... Ye Poori Book Padhne ke baad likha gaya ghatiya sa review hai.

Beacause hum ‘Ghatiya Writer Want to be Author’

BEYOND- HIT & MISS By Ritvik Kukreja.

Page-382, Rs-235