Jab Jaade ki
sard raaton mein hum apni rajaiyon mein mast wali neend le rahe hote hain. Tab
bhi is duniya mein bahut se aise log hote hain jo khule aasmaan ke neeche pet
ke khatir sone ko majboor hote hain.
Ye wo ‘AAM
AADMI’ nahi hai jisse sarkar se night shelter home ki madad chahiye hoti hai.
Ye wo aam
aadmi hai jo apne bacchon aur apne ghar walon ke liye puri raat ek kursi par
baith kar bita deta hai.
Mahine mein
sirf Rs 7500 kamane ke liye. Sard hawayein agar jaan le leti hain to le. Par
kya kar sakta hai ye aam aadmi. Ek security guard ki naukari karne wala ye aam
aadmi ek month mein ek chutti bhi nahi le sakta hai agar chutti lega to uski
salary kat jati hai.
Apna Ghar
chood kar aaya ye ‘aam aadmi’ do waqt ki roti ke liye poori raat ek kurshi par
baith kar hi kaat deta hai.
Inka naam bhi hai par mein nahi bataunga. Pata
nahi aap usme kya-Kya search karne
lagein.
Bhai Saheb batate hain ki ye humara kaam hai isse
to karna hi padega. Raat mein 11 baje se subha paanch baj tak to rukna hi padega.
Iske alawa humare pass koi vikalp bhi to nahi hai.
Ye Bhai
Saheb ek kambal ke sahare poori raat kaat dete hain. Jahan ye sard hawayein
logon ki jaan le rahi hoti hai wahi par inhone to sard hawaon se dosti kar li
hai.
Inke
aas-pass na koi alaw jal raha hota hai na hi koi dost hota hai jisse baat karke
sard raaton ko kaata ja sake. Haan abhi ek naya saathi zarur mila gaya hai
sadak par rahne wala ‘awara kutta’. To sard raaton mein uske sone ka jugaad
inhone kar diya hai.
Ek dari
laakar bicha di hai jispar wo so jaata
hai. Pichle kuch mahino se dono ki raatein saath hi beetti hain. Subha hote hi ‘awara
kutta’ apni manzil ki taraf badh jata hai.
Aur ye bhai saheb
apni dusari duty ki tayyari mein jut jaate hain.
Is desh mein
labour law to http://labour.nic.in/content/ hain par wo
laagu nahi hote hain. Aur Jab ye labour apna haq maangte hain to ya to inko
apni naukari se haath dhona padta hai.
Duniya ko banane
wale kaash tum ye shab apni aankhon se dekh rahe ho. Kya isi liye tumne duniya
banai thi.
Dhayaan
rakhna jab ye security guard abhi soye huye hain jab jaag jayegein to yahi kahegein.
Post By- Sachin