रविवार, 12 जनवरी 2014

"Humein humari Saasein wapas chahiyein"-Dedh Ishqiya


Humein humari Saasein wapas chahiyein Dedh Ishqiya

Jab Pt.Birju Maharaj, Dr.Bashir Badra, Gulazar, Beguam Akhtar, Naseeruddin shah, Vishal Bhardwaj, Darab Farooqi, Madhuri dixit, jaise naam ek saath jud gaye honge  toh Dedh Ishqiya to banni hi thi.

Ishqiya dekhne walon ko film pasand aayegi. Saath hi Urdu zubaan ko dil mein basa kar baithne walon ka bhi Dedh Ishqiya filmi product aacha entertainment karegi. Urdu na jaanne wale log kahin kahin par boar ho sakte hain. Par Via Bhopal to Lucknow pahuchi Dedh Ishqiya Story likhne wale Darab Farooqi ne badhiya kaam pesh kar aapko entertain karne ki poori koshish ki hai.

Film to aur umda banane  aur aage ka kaam milkar Vishal Bhardwaj (Dialogue,Screenplay aur Music) Director Abhishek Chaubey aur Gulzaar( Lyrics and screenplay) ne kar diya dia hai.

Setu ki cinmetography bahut acchi hai saath hi A. Sreekar Prasad ne badhiya editing ki hai.

Film ke saath ek controversy bhi jud gai hai ki Begum Akhtar ke Humari Atariya waale gaane ka credit Gulzaar ne Begum Akhtar ko nahi diya hai. Isse Pahle bhi Ishqia ke samay bhi Sarweshwar Dayal Saxsena ke poem Ibne-Batuta pahen ke joota par bhi sawal uthe thay. Film industry mein is tarah ke copyright  ke law ko todne ko inspiration kaha jaata hai. Jo ki ek samjahdaar insaan ko hamesha se sochne par mazboor karta hai.

Naseeruddin Shah  (Ifthekhar urf Khalujan) aur Arshad warsi (Razzaakh Hussain  urf Babban) ki jugalbandi film ko aage badhne ka kaam karti hai. Arshad Warsi ki baatein aapko hasne ki wajah de jaati hai aur poora theatre hasne lagta hai.

Lucknow pahuch kar bane nakli nawab khalujaan ka dil  Begum Para par aa jaata hai jinki saashein to pahle se hi udhar par chal rahi hoti hain.

Babban "Pehle bhi dekha hai ishq mein andha bawla hote ... par chutiya pehli baar dekhriya hoon main" aur Khalujaan "Iss baar ishq sacha hai humara bhi aur unkaa bhi" ke beech huye dialogue aapko hasne ka accha mauka denge. Wahi Huma Qureshi (Muniya) ki Chaalaki aapko sochne aur dimaag lagane ke liye bhi kahegi.

Naye nawab ko dudhane ke liye Begum Para ka jalse ko bulana aur phir ek alag nawab ko chunna aapko hairat mein daal dega.

Jaan Mohammad (Vijay Raj) "Humara naam Jaan hai Para Jaan, aapke liye jaan de bhi sakte hain aur le bhi" ko aap film ki asli jaan kah sakte hain. Ya  phir ye kah sakte hain ki nakli nawab ke role ko bahut hi shaandaar tareeke se nibhaya hai. Begum para se baat cheet mein ek baar kahte hain ki ‘Waqt palta bhi to khwahisein thodi palat jayengi’.

Begum Para ka bheek maangte huye kahna ‘Humein humari saashein wapas chahiyein’ Begum ke dard ko bayan karta hai.

Wahin khaalu jaan ka kahna ki Ishq ke saath mukaam hote hain Dilkashi,  Ibadat, Uns, Mohabbat, Akeedat, Junoon.

Ab hum ishq ke saatwein mukaam par hai. Babban ka puchna ki ye ishq ka saatwa muqaam kiya hota hai toh khalu jaan batate hain……..

Kahani Mahmudabaad ki Begum para ki aas-pass ghumte huye ek acche se climax ke saath ‘Teen Ishqiya’  ke intzaar ke liye hume chood jaati hain.

Haan ek baat aur cinema haal mein apni seat se choodne se pahle se Gaana sune aur dekhe bina mat jayiega. Nahi to bahut kuch adhura sa laegga. Rekha Bhardwaj ne accha gaya hai.

“Aaj ja giluari khila dun kimamiyan ki
Laali pe Laali taniq hui jawein”.