“Manna
Dey” Aap hume maaf kar dijiyega! (Photo-India Today)
23
october ki Raat ko soote soote 12 baj gaye thay. Jab subah office pahcuha, to pata
chala ki, jab subah humne apni aankhein kholi to usse pahle hi aap aisi
gahri neend mein so gaye, ki jitna bhi hum unhein pukaarien wo dubarra kabhi apni aakhein kholne wale na thay.
Maafi maagne ke kai wajah hain. unme se pahli wajah ye hai
ki aap ne itne khoobsurat gaane gaaye, par hum un gaanon mein aap ko pahchaan na paayein. Aaj jab aap ne apni aankhein band kar li to humari aankhein khul rahi hain. Aisa kyo hua Shayad humne kabhi aapke baare mein jaanne ki koshish
ki nahi ki thi.
Kahne
ko to aksar kuch gungunaya karta hun kuch likha karta hun . Kaiyon baar aap ka wo gaana bhi gungunaya jisko aapne apni khoobsurat awaz mein gaaya. Phir bhi aapko mein pahchaan na paaya.
Par ye jaan kar
aacha lagata hai ki aap ne wo gaane gaaye jinko sun kar sabhi ne luft uthaya.
MannaDey wo meethi awaz aapki thi jo logon ke kaanon mein chasni ghol rahi thai. par aksar un gaanon ko sun kar na jaane kyo aisa lagta raha ki wo gaane Kishor Da , Rafi saheb ya Mukesh ne gaaye hain.
Kasam
se kah raha hun jooth nahi kah rahe hain mujh jaisa ‘gadha’ nahi jaanta tha ki aap ne ‘Ek chatur naar
badi hoshiyaar’, Jindgi kaisi hai paheli…hai,
Kasmein wade pyar wafa sab baatein hain baton ka kya, Yaari hai imaan mera yaar
meri zindgi, jaise bahut se badhiya gaane gaaye.
Saari galti meri hi hain ki kabhi koshish hi nahi ki vastav mein ye gaane kisne gaaye aur
kisne likhe hain ye jaanne ki. Media mein kishor, Rafi aur Mukesh ki baatein
sunkar aapko jaanne ka mauka hi nahi mila.
Maafi
isliye bhi maang raha hun kyonki jab pichli baar aap bimaar pade thay tab hi
humne aapke baarein mein padh liya hota to shayad aapke baarein mein logon ko
pahle hi bata diya hota.
Meri tarah bahut se aise log hain jo nahi jaante hain ki itne behtareen gaane aap ne
gaaye hain. Office mein hi saathiyon ne bataya ki unhe nahi pata tha ki Manna
dey ye gaane gaaye hain.
Humare
jaise logon ke liye bahut hi sharm ki baat hai ki aap jaise logon ki shakhsiyat
ko hum tab jaan paate hain jab wo duniya se rukhsat lekar humse dur chale jaate hain.
Aaj
ke samay mein to gaane dekhne ke liye likhe jaate hain aur wo bhi ghatiyaa kism
ke gaane. Aap ne aise samay mein gaane gaaye jab log unhe sun kar enjoy
karte thay.
Aap
ke Dehaant ke din ek Chai ki Dukaan mein radio par aapke gaane baz rahe thay. Wahan
ek buzurag aadmi baith kar chai pe rahe thay, jaise hi unhone ek private fm
radio par aapke gaane sune to bole Aaj jab Manna dey mar gaye hain to ye gaane
suna rahe hain. Aise to kabhi nahi sunate thay ye Gaane.
Koshish
karunga ki jaisi galti humne pahle ki hai ab nahi karun.