शनिवार, 19 अक्तूबर 2013

‘Insaan hi marta hai aur Insaan hi maarta hai.’ -Shahid


‘Insaan hi marta hai aur Insaan hi maarta hai.’ -Shahid

Sach kah raha hun… kya Bahut kah raha hun.

 Agar Saal 2013 mein Biographic film ‘Bhaag milkha Bhaag’ mein farhaan akhtar ko acting ke liye yaad kiya jayega. To Saal 2013 mein Biographic film ‘Shahid’ ka role play karne wale Raj kumar yadav ki performance ko bhi nahi bhulaya ja sakega.

Pichle Do Saalon mein hindi cinema ka chehra badal raha hai aur Shahid movie ussi badalte chehre ka ek naya roop hai.

Raj kumar ne apne aap ko shaabit kiya aur Hansal Mehta aur team mein isne poori madad ki. Aksar aisi filmein marketing na hone ki wajah se adhikatar logon tak pahuch nahi paati hain.

Raj Kumar Ki ye 9vi film hai aur is saal ki dusari film hai.

Hansal Mehta ko Badhai ki unhone ek badhiya topic par movie banai. Anurag kashyap, Sunil Bohra, Ronnie Screwavala, Siddharta roy kapur, Shailesh R Singh ki himmat ko daad ki unhone is film ko mil kar produced kiya.

Phir aapko batate chalein ki Canada mein release ke ek saal baad ye movie Bharat mein release hui hai. Last year toranto mein ye film 6 September 2012 ko release hui thi. Aur apne Bharat mein kal 18 October,2013 ko release hui.

Sameer Gautam Singh ko acchi kahani likhne ke liye bhi badhai.

K K menon ki mulaqaat jail mein shahid se hoti hai. Shahid ko samjhate huye kahte hain “Lehron ke khilaaf tairna kathin hain par agar unhe paar kar logge to aisi jagah pahuchogein jahan koi nahi pahucha.”

Shahid ko jab court se bail milti hain to KK Menon ka kahna ki “ Waqt lagta hai par to jaata hai- Indian judiciary system.”

 Shahid ke Bhai ka role play karne wale Arif(Mohammad Zeeshan Ayub) ko role behtareen hai. Inki pichli film Ranjahna to yaad hogi hi aapko.

Tigmanshu Dhulia  ka kahna “civil court ke case jaise almariyon mein pade pade sad chuke hain waise tum logon ke dimag bhi sad chuke hain.” Chota sa role par badhiya role.
 ‘Sandhu’ ne bhi apna role bakhubi nibhaya hain jo film mein Shahid ki client hoti hain jinka case shahid ladta hai.

Public prosecutor ke roop mein Vipin Sharma ki chooti si bhumika hai jo ki aachi hai.
Karan kulkarni ka music badhiya aur Anuj Dhawan ki Cinematography bhi. Apurva asrani ki Editing bhi Saaf hai.

Is Film ko koi rating nahi dunga. Bas itna kahugna ki Shahid Hindi Film industry ka ek aacha product hai.

Umeed karta hun ki Hindi Film industry mein aage bhi aise hi product dekhne, sunne aur mahsus karne ko milegne.


Baaki aap ki mazri market mein Ghatiyaan product ki kami thodi na hai.