‘Facebook se kahiye hum tumhe content
denge tum humein rupee do.’
Kya aap bhi chahte hain ki Facebook
par jo bhi post karein usse puri duniya dekhe. To ab ye mukmin hai. Iske liye
aapko, facebook ko keemat chukaani hogi. Par is post par comment ya like
aaygein iski koi guarantee nahi hai.
Facebook ke mutabik agar aap paisa
kharch karein to wo aapki post ko crore logon tak pahucha sakta hai.
Facebook ke mutabik wo Rs 19,000 se Rs
6,34,900 ke beech kai tarah ke package apne user ko available karwa raha hai. Uska daawa aapke
post to 2 Lakh se lekar 1 Crore logon tak pahuchane ka hai.
Aaj ke zaamane mein muft sewa ki umeed
hum sabhi ko chodd deni chahiye. Ek taraf saari social marketing companies ne
aap ko social space available karwaya wahi apne liye marketing space bhi
taiyyar kiya.
Aapke facebook post ke like, comment
aur share hone ki chahat ne facebook ko naya market diya hai. Waise to Social
marketing site ka revenue model hi har ek user se juda hai. Social marketing
site ke liye to ‘har ek user zaruri hota hai.’
Facebook agle saal 4 febuary, 2014 ko
das saal ka ho jayega. Usne aap ko virtual space diya to aap ne bhi usko
content to diya hi diya saath mein marketing space bhi available karwa diya .
Nasdaq mein 22 November tak facebook ke
ek share ki market value $46.23 kareeb 2898 rupee thi. Facebook ki total assets
yaani kul sampatti $15.10 billion kareeb hai.
Ho sakta hai ki aage aane wale samay
mein wo aap se facebook, twitter aur Google sabhi aapse apni service use karne
ke liye rupee charge karna shuru kar dein.
Aapko lat lag chuki hogi isliye aap
jis tarah se abhi apne internet connection ke liye paise dete ho aane wale
samay mein in social marketing site par account banana ke liye bhi paise dene
pade, aisa ho sakta hai.
Bharat mein business ka model lalach (greed)
par depend ho gaya hai. Sabhi companies aise hi model par kaam kar rahi hain.
Indian consumer ki kamzori ko sabhi marketing companies ne sahi se pakad liya
hai.
Par yahi sahi samay bhi hai zab
Facebook jaisi sites se aapko bhi paise banana chahiye. Sirf wahi kyo paise
kamanye. ‘Facebook se kahiye hum tumhe content denge tum humein rupee do.’
Aapke ke Liye Facebook ke rate list
bhi de raha hun Kya aap bhi social marketing ki duniya mein chahna chahte hain.
Post by-Sachin