रविवार, 29 दिसंबर 2013

Ram leela Maidaan par Arvind kejriwal ki leela

Ram leela Maidaan par Arvind kejriwal ki leela

Dilli mein rahte huye Ramleela maidaan do baar mann se jaane ka dil kiya hai. Pahli baar saal august 2011 mein jab lokpal bill ko pass karwane ke liye hazaron ki bheed jut gai thi. Aur Dusari baar 28 December 2013 ka din jab Arvind kejriwal ko Chief minister pad ki shapath leni thi.


August 2011 mein Janta ka Aandolan jab Rajnaitik aandolan ban gaya tha. Jo janta aa rahi thi usmein kis party ka chehra shamil tha ye  pata nahi chal pa rha tha aur television media ke zabardast coverage ne bhi us aandolan mein aag mein ghee daalne ka kaam kiya tha. Dheere Dheere us movment ka huliya badalne laga.

Kuch samay baad logon ka mann us aandolan se hatne laga aur bina lokpal bill pass huye hi logon ki guhaar par Anna ne apna Anshan tod diya.

Dheere Dheere Samay beetata gaya aur log un baaton ko bhulne lage. Kuch samay baad Arvind kejriwaal ne apne saathiyon Manish sisodiya, Yogendra Yadav, Sanjay Singh, Prasanth Bhusan, Anand kumar samet anay logon ke saath mil kar 26 November 2012 ko AAM AADMI PARTY ki isthapana kar daali. Lokpal bill ke liye chale movement ko abhi 14 mahine hi huye thay.

Party is isthapna ko lekar Arvind aur Anna mein matbhed thay. Wahin Kiran bedi aur santosh hegde bhi kisi political party ke formation ke khilaaf thay. Santosh Hegde ne to ye bayan bhi diya tha ki election ladne mein itna paisa kharch hota hai. Aakhir ye paisa aayega kahan se.

In Sabke Bawjoob Arvind ne 26 November, 2012 (ko jo ki pahle bhi ek historical day tha) us din AAM AADMI PARTY ki neeve rakh di. 26 November 1949 ko hi Bharat ne Constitution ko adopt kiya tha.

Party ne dheere-dheere apne aandolan ko tez karna shuru kiya. Sabse pahle party ne electricity bill ko lekar abhiyaan shuru kiya. Arvind kejriwaal ne Anshan kiya aur laakhon logon ne electricity se related apni problems ko arvind tak pahuchaya. Dilli ki chief minister Sheela Dixit shayad is baat ko bhaap nahi paayi ki arvind ke pass pahuch rahe letter shayad aam aadmi party ke vote bank bhi ban rahe thay.

Is Dauran mahngaai, pyaaz, rape case, delhi police behavior, paani, bijli, school fees jaise kai mudde aay aur jaate rahe par. Government ko laga ki uska jaadu phir chal jayega.

Dusari taraf bina media ki meharbani ke aam aadmi party zameeni istar par apna kaam karti rahi. Last Samay tak media ne aam aadmi party ko poori tarah naakar diya tha.

Party ke formation ke baad ek saal se bhi kam samay mein zameen aur social media par kiya gaya kaam koi bhi bhaap nahi saka tha.

Election aaye aur chale bhi gaye. Bade-Bade organization ke opinion poll aur exit poll sab fail ho gaye thay.


4 -8 December tak ka samay sabhi ko kaatne daud raha tha. 8 December ki subah hi kuch badli hui lag rahi thi. Election ke result to chaar rajyon ke aane thay. Par sabki nazar thi dilli ke result par. Raat 10 Baje tak Doodh ka Doodh aur Paani ka Paani ho chukka tha. Delhi ka rajnitik itihass badal chukka tha. Aam aadmi party 28 seat jeet chuki thi.

8-28 December ke beech ka samay logon ke beech ek mystery ki tarah tha ki aakhir sarkar kiski banegi.

Bjp ne sarkar banane se apne haath khade kar diye thay. Ab Aam aadmi party par har taraf se ek pressure banaya jaane laga ki usko sarkar banani chahiye. Aisa na karne par ye ilzaam lagne lage ki party sarkar banana hi nahi chahti hai. Kaafi pressure ke baad Arvind kejriwaal ne apni national executive team ki sahmati ke baad sarkar banane ki ghosna kar di thi.

Arvind ne leak se hatte huye. 28 December ko aitihaasik ramleela maidan mein shapath lene ki ghosna ki. Arvind  ne logo se kaha ki ye aam aadmi ki sarkar aur har aam aadmi unke is shapath graham samaroh mein shamil ho sakta hai. Kisi ko bhi special invite nahi kiya gaya.

28 December ki subah hi kuch alag lag rahi thi. Jab ghar se metro se ram leela maidaan jaane ke liye nikla to blue line mein ‘mujhe swaraj chahiye’ ki topi lagaye huye Bahut se aam aadmi party ke samarthak dikhe. Abhi tak jahan gharon mein mahilaon ke haaton mein hi jhaadu dikhti thi us din subah aadmiyon ke haaton mein bhi bade number mein jhaadu dikh rahi thi. Jawahar Lal Nehru Marg ek baar phir se jinda ho  gaya. Hazzron crore rupee ki lagat se bani civic centre ke ye building dusari baar is maidaan par kuch aitihaasik hone ki gwaah ban rahi thi.

Log ye baatein karne lage thay ki ye naya aadmi kaam zarur karega. Abhi Arvind ne mukhyamantri pad is shapath li bhi nahi thi. Aisi baatien sunn kar aisa lag raha tha ki sach mein logon ko bahut ummedein hain Arvind se.

Is tarah ke programme mein kabhi pahle shamil nahi hua tha. Par Jab ram leela maidaan mein pahucha to gazab naazara tha. Logon ke shir se jyada unki topiyaan dikh rahi thi. Sirf hindi patti ke logon ke log is bheed mein shammil nahi thay. Balki southern india ke log mein apni-apni bhasaon mein Arvind ke samarthan mein poster aur banner le kar aaye thay. Dilli mein Chota bharat basta hain. Us Choote se bharat ke zaiye crore logon tak ye baat aur jyada pahuch chuki hogi.

Anna ke aandolan ki tarah is baar bheed ki sankhaya jyada dikhane ke liye Electronic media ne koi khel  nahi  khela tha. Kyoki is baar bheed itni thi ki media ko kuch karna hi nahi pada. Wo bhi is bheed ko dekh kar shayad asamanjash mein hoga ki akhir usne kyo usne pahle aam aadmi party ko support nahi kiya.




























Ye bheed bulai nahi gai thi jisme buses lagi ho ya phir log train se aaye ho. Log khud chal kar is shamaroh mein shamil hone ke liye aaye thay. Ek samay aisa bhi aa gaya jab police ne gate band kar diye aur log bahar khade hokar hi Arvind and team ko dekhne ke liye betaab dikhne lage. Media ki entry bhi band go gai.

Ek din pahle hi barish  hone ki  sambhavana IMD ne jatai thi. Par surya devta itne jyada meharbaan thay ki aaj wo bhi khul kar has rahe thay.

Mausam suhavana, maidaan aitihaasik aur aam aadmi ka huzoom to lazawaab tha.


Media ki tope tan chuki thi. Kisi bhi tarah se saare pallon ko sajone ki tayyari chal rahi thi. 12 Baje Arvind apni team ke saath peeche ke gate se entry lete hain. Unke saath Delhi ke chief Secretary D.M. sapolia, L.G Najeeb jang bhi shaamil hote hain. 12 baje programme shuru hota hai. Arvind kejriwaal sabse pahle shapath lete hain aur uske baad number two manish shapath lete hain. Manish ke shapath lete hi Arvind uth kar unse haath milate. Dheere Dheere sabko shapath dilayi jaati hai aur phir arvind ek jordaar speech dete hain aur anth mein ek gaana gaakar 12.30 apni baat ko samapt kar dete hain.

“Khule aakash mein arvind ki awaz sunkar parinde aate hain. Theek manch ke upar naache te hain aur chale jaate hain. Haawayein duwayein laati hain aur Arvind se kahti hai, apna khyal rakho desh ko kam se kam 30 saal tak abhi tumhari aur zarurat hai."

Aur Ram Leela Maidaan kahta hai “main tumse umeed karta hun ki aaj se theek ek saal baad Arvind tum is maidaan mein Gaon ki janta ko sambodhit karoge.Jaise aaj poora maidaan bhara hai waise hi ek saal baad yahan par gaaon ki janta aa jayegi to yakin manna tumhara model poore desh mein lagu hone se koi nahi rok sakta aur agar gaaon ki janta tumhari baton ko  maan kar yahan nahi aati hai to tum samjh lena abhi bhi  tumhe bahut kaam karna hai.”
























Ram Leela jitna sab ka utna tumhara bhi hai. Kabhi bhi yahan aane se sancoach mat karna.

Post By-Sachin