बुधवार, 22 जनवरी 2014

Walk in Test/Interview for selection of “P R Trainees” in Spices Board India.

Walk in Test/Interview for selection of “P R Trainees” in Spices Board India.

Spices Board India, the nodal organization for the development and world wide promotion of the spice industry, under the Ministry of Commerce and Industry, Govt of India has made formidable new thrust and added new directions to ensure long term growth of the industry on a long term basis. The Board is implementing various initiatives in spice industry for promotion and publicity aiming at sustainability, food safety and traceability.

The Board is aiming to train young graduates with a flair for writing and possessing public relations skills to be associated with these programmes as well as with the ventures of Spices Board with Codex Alimentarius Commission.

Those selected will be trained for a period of two years in Spices Board and will have to travel places as and when necessary.

for further details , please click on this link.  

http://www.indianspices.com/php/vacancy.php?newsId=1767#desc

सोमवार, 20 जनवरी 2014

Coverage of Mayawati Sawdhaan rally in National Newspaper of Delhi editions

मायावती की सावधान  रैली की नेशनल मीडिया में खासकर दिल्ली के अख़बारों में कवरेज पर एक रिपोर्ट।

15 जनवरी , 2014 को लखनऊ में बीएसपी पार्टी की  राष्ट्रीय सुप्रीमो मायावती "सावधान" नारे के साथ एक सावधान रैली करती हैं. एक राष्ट्रीय पार्टी के तौर पर उत्तर प्रदेश की राजधानी लखनऊ में की गई इस रैली के राष्ट्रीय स्तर पर बहुत मायने थे. लेकिन राजधानी दिल्ली में आने वाले अखबारों ने क्या सावधान रैली को उतनी ही अहमियत दी. जितनी उसको मिलनी चाहिए थी तो जवाब न ही नज़र आता है 

अगर इतनी बड़ी रैली किसी अन्य राजनैतिक पार्टी ने की होती तो क्या तब भी ऐसी ही तवज्जो उस पार्टी को दी जाती।

मैं, ये एक दम नहीं कहता हूँ कि इन अखबारों में जिन ख़बरों को पहले पन्ने पर रखा वो बुरा या गलत है.

कुछ दिनों पहले ही रायबरेली में हुई आम आदमी पार्टी के कवि से नेता बने कुमार विश्वास की रैली को "इंडियन एक्सप्रेस" जैसा अखबार पहले पेज पर अपनी खबर बना सकता है. सुनंदा पुष्कर की मौत से पहले शशि थरूर के साथ उनकी अनबन की खबर पहले पन्ने पर आ जाती है.

तो फिर मायावती की ये रैली दिल्ली के अख़बारों में जगह क्यों नहीं बना पाती  है?
 
ये बात बताने की नहीं है कि पहले पेज पर उस खबर को स्थान दिया जाता है जिनका राष्ट्रीय स्तर पर महत्व  होता है. इसलिए पहले पेज पर आई खबर की अपनी इम्पोर्टेंस होती है. क्योकि पहले पेज देखने के बाद कई लोग सीधे-सीधे अपने पसंद के पेज पर स्वीच कर जाते हैं. ऐसे में सही मायनों में देश में कहीँ कुछ ऐसा हुआ जो रीडर्स को जानना भी चाहिए था. वो नहीं जान पाते हैं.

ऐसा इसलिए लिख रहा हूँ  क्योंकि भले ख़बरों का डिजिटल युग आ गया हो. पर फिर भी ख़बरों के इस दौर में आज भी सबसे ज्यादा विश्वसनीय प्रिंट मीडिया ही है. लोग अपने अख़बारों में छपी  ख़बरों के आधार पर लोगों को चुनौती तक दे डालते हैं.

एक नज़र, किसने दी कितनी कवरेज 

1  राजस्थान पत्रिका मायावती की रैली को पेज नंबर -11 पर कवरेज देता है.


2 -दैनिक भास्कर इस रैली को पेज तीन पर कवरेज देता और एजेंसी की खबर लगाता हैं.


 3 - दैनिक जागरण पहले पेज पर खबर को जगह देता है.


4 - नवभारत टाइम्स इस खबर को पेज 16 पर जगह देता है.


5- हिन्दुस्तान पहले पेज पर न दिखने के बराबर जगह देता है और फिर कवरेज पेज 7 पर ही पहुँच जाती है.


6- राष्ट्रीय सहारा  ने पेज 1 पर रैली कवरेज दी है.


7.  अमरउजाला ने पेज-1 न दिखने के बराबर कवरेज दी है और बाकी कि कवरेज पेज 10 पर पहुँच गई है.


Coverage of Mayawati Sawdhaan rally in National Newspaper of Delhi editions

1-The Hindu Page Number -10 Delhi Edition
  BSP will go alone in Lok Sabha election, says Mayawati.



2-The Asian Age-Page1  Bottam right side
   Mayawati: No alliances, will fight LS Alone.


3-The Indian Express
   Maya for Dalit-Musllim unity to keep BJP out.  Page 4



4- The Pioneer- Page 7
    Defeat anti-dalit designs of politicians: Maya   Page-7



5-‘Maya Turns b’day party into opponent basting  Page-8 The Hindustan Times
 

6- Maya indicates she’ll align with secular forces’  Page-15  The Times of India


    It is just a short analysis of Some Major National Newspapers of Delhi Date 16 January, 2014.

Note- I am not associated with any political party. It is just a short review of Newspaper.   

  Post By- Sachin

रविवार, 12 जनवरी 2014

"Humein humari Saasein wapas chahiyein"-Dedh Ishqiya


Humein humari Saasein wapas chahiyein Dedh Ishqiya

Jab Pt.Birju Maharaj, Dr.Bashir Badra, Gulazar, Beguam Akhtar, Naseeruddin shah, Vishal Bhardwaj, Darab Farooqi, Madhuri dixit, jaise naam ek saath jud gaye honge  toh Dedh Ishqiya to banni hi thi.

Ishqiya dekhne walon ko film pasand aayegi. Saath hi Urdu zubaan ko dil mein basa kar baithne walon ka bhi Dedh Ishqiya filmi product aacha entertainment karegi. Urdu na jaanne wale log kahin kahin par boar ho sakte hain. Par Via Bhopal to Lucknow pahuchi Dedh Ishqiya Story likhne wale Darab Farooqi ne badhiya kaam pesh kar aapko entertain karne ki poori koshish ki hai.

Film to aur umda banane  aur aage ka kaam milkar Vishal Bhardwaj (Dialogue,Screenplay aur Music) Director Abhishek Chaubey aur Gulzaar( Lyrics and screenplay) ne kar diya dia hai.

Setu ki cinmetography bahut acchi hai saath hi A. Sreekar Prasad ne badhiya editing ki hai.

Film ke saath ek controversy bhi jud gai hai ki Begum Akhtar ke Humari Atariya waale gaane ka credit Gulzaar ne Begum Akhtar ko nahi diya hai. Isse Pahle bhi Ishqia ke samay bhi Sarweshwar Dayal Saxsena ke poem Ibne-Batuta pahen ke joota par bhi sawal uthe thay. Film industry mein is tarah ke copyright  ke law ko todne ko inspiration kaha jaata hai. Jo ki ek samjahdaar insaan ko hamesha se sochne par mazboor karta hai.

Naseeruddin Shah  (Ifthekhar urf Khalujan) aur Arshad warsi (Razzaakh Hussain  urf Babban) ki jugalbandi film ko aage badhne ka kaam karti hai. Arshad Warsi ki baatein aapko hasne ki wajah de jaati hai aur poora theatre hasne lagta hai.

Lucknow pahuch kar bane nakli nawab khalujaan ka dil  Begum Para par aa jaata hai jinki saashein to pahle se hi udhar par chal rahi hoti hain.

Babban "Pehle bhi dekha hai ishq mein andha bawla hote ... par chutiya pehli baar dekhriya hoon main" aur Khalujaan "Iss baar ishq sacha hai humara bhi aur unkaa bhi" ke beech huye dialogue aapko hasne ka accha mauka denge. Wahi Huma Qureshi (Muniya) ki Chaalaki aapko sochne aur dimaag lagane ke liye bhi kahegi.

Naye nawab ko dudhane ke liye Begum Para ka jalse ko bulana aur phir ek alag nawab ko chunna aapko hairat mein daal dega.

Jaan Mohammad (Vijay Raj) "Humara naam Jaan hai Para Jaan, aapke liye jaan de bhi sakte hain aur le bhi" ko aap film ki asli jaan kah sakte hain. Ya  phir ye kah sakte hain ki nakli nawab ke role ko bahut hi shaandaar tareeke se nibhaya hai. Begum para se baat cheet mein ek baar kahte hain ki ‘Waqt palta bhi to khwahisein thodi palat jayengi’.

Begum Para ka bheek maangte huye kahna ‘Humein humari saashein wapas chahiyein’ Begum ke dard ko bayan karta hai.

Wahin khaalu jaan ka kahna ki Ishq ke saath mukaam hote hain Dilkashi,  Ibadat, Uns, Mohabbat, Akeedat, Junoon.

Ab hum ishq ke saatwein mukaam par hai. Babban ka puchna ki ye ishq ka saatwa muqaam kiya hota hai toh khalu jaan batate hain……..

Kahani Mahmudabaad ki Begum para ki aas-pass ghumte huye ek acche se climax ke saath ‘Teen Ishqiya’  ke intzaar ke liye hume chood jaati hain.

Haan ek baat aur cinema haal mein apni seat se choodne se pahle se Gaana sune aur dekhe bina mat jayiega. Nahi to bahut kuch adhura sa laegga. Rekha Bhardwaj ne accha gaya hai.

“Aaj ja giluari khila dun kimamiyan ki
Laali pe Laali taniq hui jawein”.

शुक्रवार, 10 जनवरी 2014

Ye Sard Raat Kab Jayegi…
























Jab Jaade ki sard raaton mein hum apni rajaiyon mein mast wali neend le rahe hote hain. Tab bhi is duniya mein bahut se aise log hote hain jo khule aasmaan ke neeche pet ke khatir sone ko majboor hote hain.

Ye wo ‘AAM AADMI’ nahi hai jisse sarkar se night shelter home ki madad chahiye hoti hai.

Ye wo aam aadmi hai jo apne bacchon aur apne ghar walon ke liye puri raat ek kursi par baith kar bita deta hai.

Mahine mein sirf Rs 7500 kamane ke liye. Sard hawayein agar jaan le leti hain to le. Par kya kar sakta hai ye aam aadmi. Ek security guard ki naukari karne wala ye aam aadmi ek month mein ek chutti bhi nahi le sakta hai agar chutti lega to uski salary kat jati hai.

Apna Ghar chood kar aaya ye ‘aam aadmi’ do waqt ki roti ke liye poori raat ek kurshi par baith kar hi kaat deta hai.

Inka naam bhi hai par mein nahi bataunga. Pata nahi aap usme kya-Kya search karne  lagein.

Bhai  Saheb batate hain ki ye humara kaam hai isse to karna hi padega. Raat mein 11 baje se subha paanch baj tak to rukna hi padega. Iske alawa humare pass koi vikalp bhi to nahi hai.

Ye Bhai Saheb ek kambal ke sahare poori raat kaat dete hain. Jahan ye sard hawayein logon ki jaan le rahi hoti hai wahi par inhone to sard hawaon se dosti kar li hai.

Inke aas-pass na koi alaw jal raha hota hai na hi koi dost hota hai jisse baat karke sard raaton ko kaata ja sake. Haan abhi ek naya saathi zarur mila gaya hai sadak par rahne wala ‘awara kutta’. To sard raaton mein uske sone ka jugaad inhone kar diya hai.

Ek dari laakar bicha di  hai jispar wo so jaata hai. Pichle kuch mahino se dono ki raatein saath hi beetti hain. Subha hote hi ‘awara kutta’ apni manzil ki taraf badh jata hai.

Aur ye bhai saheb apni dusari duty ki tayyari mein jut jaate hain.

Is desh mein labour law to http://labour.nic.in/content/  hain par wo laagu nahi hote hain. Aur Jab ye labour apna haq maangte hain to ya to inko apni naukari se haath dhona padta hai.

Duniya ko banane wale kaash tum ye shab apni aankhon se dekh rahe ho. Kya isi liye tumne duniya banai thi.

Dhayaan rakhna jab ye security guard abhi soye huye hain jab jaag jayegein to yahi kahegein.


Post By- Sachin

मंगलवार, 7 जनवरी 2014

Jobs in Prasar Bharti





Post By-Sachin

रविवार, 5 जनवरी 2014

Gulzaar ke lyrics par saath gaaye Sukhwindar aur Honey singh

Naye Saal mein aapko Gulzaar ke likhe lyrics, Vishal Bhardwaj ke music par agar Sukhwindar aur Honey singh sath gaana gaate huye mil jaaye to chaukiyega mat. Je haan Film Dedh Isqiya mein aapko kuch yahi nazrana milne wala hai. Lyrics toh ghatiya hain. Par phir bhi faisla aap kijiyega ki kya sach mein ye gaana itna umda hai.




Post By-Sachin

रविवार, 29 दिसंबर 2013

Ram leela Maidaan par Arvind kejriwal ki leela

Ram leela Maidaan par Arvind kejriwal ki leela

Dilli mein rahte huye Ramleela maidaan do baar mann se jaane ka dil kiya hai. Pahli baar saal august 2011 mein jab lokpal bill ko pass karwane ke liye hazaron ki bheed jut gai thi. Aur Dusari baar 28 December 2013 ka din jab Arvind kejriwal ko Chief minister pad ki shapath leni thi.


August 2011 mein Janta ka Aandolan jab Rajnaitik aandolan ban gaya tha. Jo janta aa rahi thi usmein kis party ka chehra shamil tha ye  pata nahi chal pa rha tha aur television media ke zabardast coverage ne bhi us aandolan mein aag mein ghee daalne ka kaam kiya tha. Dheere Dheere us movment ka huliya badalne laga.

Kuch samay baad logon ka mann us aandolan se hatne laga aur bina lokpal bill pass huye hi logon ki guhaar par Anna ne apna Anshan tod diya.

Dheere Dheere Samay beetata gaya aur log un baaton ko bhulne lage. Kuch samay baad Arvind kejriwaal ne apne saathiyon Manish sisodiya, Yogendra Yadav, Sanjay Singh, Prasanth Bhusan, Anand kumar samet anay logon ke saath mil kar 26 November 2012 ko AAM AADMI PARTY ki isthapana kar daali. Lokpal bill ke liye chale movement ko abhi 14 mahine hi huye thay.

Party is isthapna ko lekar Arvind aur Anna mein matbhed thay. Wahin Kiran bedi aur santosh hegde bhi kisi political party ke formation ke khilaaf thay. Santosh Hegde ne to ye bayan bhi diya tha ki election ladne mein itna paisa kharch hota hai. Aakhir ye paisa aayega kahan se.

In Sabke Bawjoob Arvind ne 26 November, 2012 (ko jo ki pahle bhi ek historical day tha) us din AAM AADMI PARTY ki neeve rakh di. 26 November 1949 ko hi Bharat ne Constitution ko adopt kiya tha.

Party ne dheere-dheere apne aandolan ko tez karna shuru kiya. Sabse pahle party ne electricity bill ko lekar abhiyaan shuru kiya. Arvind kejriwaal ne Anshan kiya aur laakhon logon ne electricity se related apni problems ko arvind tak pahuchaya. Dilli ki chief minister Sheela Dixit shayad is baat ko bhaap nahi paayi ki arvind ke pass pahuch rahe letter shayad aam aadmi party ke vote bank bhi ban rahe thay.

Is Dauran mahngaai, pyaaz, rape case, delhi police behavior, paani, bijli, school fees jaise kai mudde aay aur jaate rahe par. Government ko laga ki uska jaadu phir chal jayega.

Dusari taraf bina media ki meharbani ke aam aadmi party zameeni istar par apna kaam karti rahi. Last Samay tak media ne aam aadmi party ko poori tarah naakar diya tha.

Party ke formation ke baad ek saal se bhi kam samay mein zameen aur social media par kiya gaya kaam koi bhi bhaap nahi saka tha.

Election aaye aur chale bhi gaye. Bade-Bade organization ke opinion poll aur exit poll sab fail ho gaye thay.


4 -8 December tak ka samay sabhi ko kaatne daud raha tha. 8 December ki subah hi kuch badli hui lag rahi thi. Election ke result to chaar rajyon ke aane thay. Par sabki nazar thi dilli ke result par. Raat 10 Baje tak Doodh ka Doodh aur Paani ka Paani ho chukka tha. Delhi ka rajnitik itihass badal chukka tha. Aam aadmi party 28 seat jeet chuki thi.

8-28 December ke beech ka samay logon ke beech ek mystery ki tarah tha ki aakhir sarkar kiski banegi.

Bjp ne sarkar banane se apne haath khade kar diye thay. Ab Aam aadmi party par har taraf se ek pressure banaya jaane laga ki usko sarkar banani chahiye. Aisa na karne par ye ilzaam lagne lage ki party sarkar banana hi nahi chahti hai. Kaafi pressure ke baad Arvind kejriwaal ne apni national executive team ki sahmati ke baad sarkar banane ki ghosna kar di thi.

Arvind ne leak se hatte huye. 28 December ko aitihaasik ramleela maidan mein shapath lene ki ghosna ki. Arvind  ne logo se kaha ki ye aam aadmi ki sarkar aur har aam aadmi unke is shapath graham samaroh mein shamil ho sakta hai. Kisi ko bhi special invite nahi kiya gaya.

28 December ki subah hi kuch alag lag rahi thi. Jab ghar se metro se ram leela maidaan jaane ke liye nikla to blue line mein ‘mujhe swaraj chahiye’ ki topi lagaye huye Bahut se aam aadmi party ke samarthak dikhe. Abhi tak jahan gharon mein mahilaon ke haaton mein hi jhaadu dikhti thi us din subah aadmiyon ke haaton mein bhi bade number mein jhaadu dikh rahi thi. Jawahar Lal Nehru Marg ek baar phir se jinda ho  gaya. Hazzron crore rupee ki lagat se bani civic centre ke ye building dusari baar is maidaan par kuch aitihaasik hone ki gwaah ban rahi thi.

Log ye baatein karne lage thay ki ye naya aadmi kaam zarur karega. Abhi Arvind ne mukhyamantri pad is shapath li bhi nahi thi. Aisi baatien sunn kar aisa lag raha tha ki sach mein logon ko bahut ummedein hain Arvind se.

Is tarah ke programme mein kabhi pahle shamil nahi hua tha. Par Jab ram leela maidaan mein pahucha to gazab naazara tha. Logon ke shir se jyada unki topiyaan dikh rahi thi. Sirf hindi patti ke logon ke log is bheed mein shammil nahi thay. Balki southern india ke log mein apni-apni bhasaon mein Arvind ke samarthan mein poster aur banner le kar aaye thay. Dilli mein Chota bharat basta hain. Us Choote se bharat ke zaiye crore logon tak ye baat aur jyada pahuch chuki hogi.

Anna ke aandolan ki tarah is baar bheed ki sankhaya jyada dikhane ke liye Electronic media ne koi khel  nahi  khela tha. Kyoki is baar bheed itni thi ki media ko kuch karna hi nahi pada. Wo bhi is bheed ko dekh kar shayad asamanjash mein hoga ki akhir usne kyo usne pahle aam aadmi party ko support nahi kiya.




























Ye bheed bulai nahi gai thi jisme buses lagi ho ya phir log train se aaye ho. Log khud chal kar is shamaroh mein shamil hone ke liye aaye thay. Ek samay aisa bhi aa gaya jab police ne gate band kar diye aur log bahar khade hokar hi Arvind and team ko dekhne ke liye betaab dikhne lage. Media ki entry bhi band go gai.

Ek din pahle hi barish  hone ki  sambhavana IMD ne jatai thi. Par surya devta itne jyada meharbaan thay ki aaj wo bhi khul kar has rahe thay.

Mausam suhavana, maidaan aitihaasik aur aam aadmi ka huzoom to lazawaab tha.


Media ki tope tan chuki thi. Kisi bhi tarah se saare pallon ko sajone ki tayyari chal rahi thi. 12 Baje Arvind apni team ke saath peeche ke gate se entry lete hain. Unke saath Delhi ke chief Secretary D.M. sapolia, L.G Najeeb jang bhi shaamil hote hain. 12 baje programme shuru hota hai. Arvind kejriwaal sabse pahle shapath lete hain aur uske baad number two manish shapath lete hain. Manish ke shapath lete hi Arvind uth kar unse haath milate. Dheere Dheere sabko shapath dilayi jaati hai aur phir arvind ek jordaar speech dete hain aur anth mein ek gaana gaakar 12.30 apni baat ko samapt kar dete hain.

“Khule aakash mein arvind ki awaz sunkar parinde aate hain. Theek manch ke upar naache te hain aur chale jaate hain. Haawayein duwayein laati hain aur Arvind se kahti hai, apna khyal rakho desh ko kam se kam 30 saal tak abhi tumhari aur zarurat hai."

Aur Ram Leela Maidaan kahta hai “main tumse umeed karta hun ki aaj se theek ek saal baad Arvind tum is maidaan mein Gaon ki janta ko sambodhit karoge.Jaise aaj poora maidaan bhara hai waise hi ek saal baad yahan par gaaon ki janta aa jayegi to yakin manna tumhara model poore desh mein lagu hone se koi nahi rok sakta aur agar gaaon ki janta tumhari baton ko  maan kar yahan nahi aati hai to tum samjh lena abhi bhi  tumhe bahut kaam karna hai.”
























Ram Leela jitna sab ka utna tumhara bhi hai. Kabhi bhi yahan aane se sancoach mat karna.

Post By-Sachin